KABHI KABHI MERE DIL MEN … KAASH KE AISA HOTA!
Kisi khamoosh, udaas aur ujde ghar main
Jaa ke kuch der rahoon, apna samajh kar usko
Aur kuch der sahi, usko bhi aabad karoon.
Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
[sar-e-shaam jab main jaata hoon chahel qadmi per]
Aur jab kisi ghareeb ke ghar ke ander sey
Sunaai padti hai aawaaz qahqahoN ki mujhe
Chaahta hai badaa ye jee ke dastak dooN
JaaoN ander, shareek-e-mehfil hooN
Unke khushiyoN ke raaz ko jaanooN
Aur dil se kahooN ‘muabarak baad’
Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Ke maiN bhi jee loon koi chaar, aath din, goya
Ke theek hai sabhi, is karobar-e-duniya maiN
Ke mulk-o-qaum meN hai shaanti, aman, har soo
Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Ke ‘muft’ o ‘choot’ ke janjaal main phaNse gaahak
Bade Bazaron pe ghanton dikheN qataaroN meN
JhanjoduN, poochuN, ‘bataao apni economics’
Ke das bachaane ko sau, sau bhi tum lutate ho
Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Jo pyaara sa koi baccha, tawaana aur khush haal
Nazar jamaa ke mujhe dekhe, muskurade zara
To goud me luN lapak, aur lagalooN seeney se
Aur ek pal hi sahi mil luN main apne bachpan se
Jo chin gaya kahin irtaeqa ke dauraaN meN
Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Isi tarah jo kabhi shahr ke veeraney meN
Nazar meN bhaaye koi unsuni haseeN paikar
MilooN bebaaki se us se, takalluf ke baghair
Daad duN usko husn ki uske, Shukriya bhi kahoon
Ke “waood-e-zan se hai tasveer-e-kaenaat meN rang”
Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Bulaloon ghar meN kuch anjaaaN raahgeeroN ko
SunooN, sunaaoN kahaani hayate dauraaN ki
Pata karooN ke hai mujh meN, unme farq koi
Safar pe haiN jo sabhi, manzileN juda hi saheeh
Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Ke apne ghar ko badaldooN baraey baitul khala
Ke haath main liye dibba, mulgaji andheronN meN
Na dekhna padey aurat koi ‘River Front’ ke parey
Na sochna padey din bhar woh kaise ruk pateN
Ke kaise kaam ke hain shahr ke anderey kuch
Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Khilone leke dooN anjaaN ghareeb bachoN ko
Jo unse kheyleN, unhe kholeN aur unhe samjheN
Phir ayega koi din jab wohi banaeNge
Aur hum unheeN ke khilone khareed payenge
MAGAR AEY KAASH! AISA KUCH HUWA HOTA
YEH MUMKINAAT ME HOTA MAGAR AISE
KE KOI FATWA NA DETA, NA DHARTA SAR ILZAAM
NA KARTA SHAK KOI, AUR NA HEE DARAATA KOI
NA BUJHTE HUM, NA KABHI ITNE AJNABI BANTE,
KHUD APNE SHAHR MEn, LOGOn MEn JO HAMARE HAIn
KABHI KABHI MERE DIL ME KHAYAL AATA HAI!